ILM-E-NAJOOM KI AFADIYAT



ILM-E-NAJOOM MEI WAQT KO KHAAS AEHMIYYAT HASIL HAI BAL K KAYENAT KA TAMAM ZARRAH ZARRAH WAQT KA PABAND HAI SURAJ KA APNAY WAQT PER TULU-O-GHAROOB HONA , MOSAM KA TABDEEL HONA , SAB WAQT K MUTABIQ HAI IS BAT KA SABOOT HAMEN IS HADEES MUBARKA SE BHI MILTA HAI NABI KAREEM (SAL'ALLAHO ALEHE WA SALLAM) NE IRSHAD FARMAYA:


 "کل امرمرھون باوقتھا"
"YANI HAR AMAR OQAT KA MARHOON-E-MINNAT HAI"

AB KHOOB SAMAJH LEJIAY K TAMAM AMALIYAT MEI SAT(7) SEYARON KA TALLUQ HAI JIN KA ZIKR YAHAN AATA HAI K "TAMAM HALAT JO DUNIYA MEI WAQOO PAZEER HOTAY HEN WOH ALLAH K AMR KUN'FAYAKOON K ZARIAY INHE (7) SEYAR'GAN KI GARDISH KA NATEEJA HEN BA'HAR HAL MERA MAQSAD YAHAN HUB K MUTALLIQ CHAND QAVANEEN-E-NAJOOM KO BEYAN KARNA HAI TA K TALIB KO AASANI HO 
SAB SE PEHLEY SATON(7TH) SITARON AUR BARA(12) BURJON K NAAM AUR DIN MALOOM KAREN 
WAZEH RAHEY K IN SEYARON MEI SE AMALIYAT-E-HUB K HAKIM "MUSHTARI AUR ZOHRA" HEN AUR YEH DONO SEYARAY SAD-E-AKBAR GINAY GAYE HEN AUR AAMAL-E-HUB K LIAY KHAAS ASAR RAKHTAY HEN 
MOHABBAT K TAMAM AMALIYAT ZEYADAH TAR INHE (2) SEYARON K OQAT AUR SA'AD NAZRAT MEI SAR'ANJAM DIAY JATAY HEN MUSHTARI" MARD SE MUTALLIQ HAI AUR ZOHRA" ORAT SE , LEHAZAH MARD KI TASKHEER MATLOOB HO TO MUSHTARI KI SA'AT MEI AMAL KAREN AUR AGAR ORAT KO TASKHEER KARNA HO TO ZOHRA KI SA'AT MEI AMAL KAREN SATH SEYARON KI RUJJAT AUR ISTEQAMAT KA KHAYAL RAKHEN JO K HAR TAQVEEM MEI DARJ HOTI HAI 
AMALIYAT AUR ILM-UL-ALVAH KO HATH LAGANA BEKAAR HAI AB SEYARON K SHARF K OQAT MALOOM KAREN IN OQAT MEI AMAL KI TAAQAT HAZAR (1000) GUNA BARRH JATI HAI 

QAMAR:  WAZEH HO K DUNIYA K TAMAM AF'AAL MEI QAMAR KA SAB SE ZEYADAH DAKHAL HAI AMAL CHAHY HUB KA HO YA BUGHAZ KA HAR HALAT MEI QAMAR KI SA'ADAT WA NAHOOSAT KA JAYEZAH LENA ZAROORI HAI HAR AMAL KI KAMYABI WA NAKAMI KA DAR-O-MADAR QAMAR KI SA'ADAT WA NAHOOSAT PER HAI BAHAR'HAL QAMAR KA SHARF HAR MAHEENA HOTA HAI "BURJ-E-SOR" MEI SHARF HOTA HAI AUR TAQREEBAN SAVA DO DIN (2 DAYS) REHTA HAI JAB  QAMAR BURJ-E-SOR MEI TEEN (3) DARJAY PER AATA HAI TO SHARF KA ZEYADAH ZOR HOTA HAI IS K SHARF MEI HUB K NAQOOSH , TALISMAT, AUR TAKSEEREN WAGHAIRAH TAYAR KARNA BOHAT FAYEDAH'MAND HAI.

MUSHTARI:  SA'AD-E-AKBAR HAI VESAY TO IS SEYARAY K OQAT FARAKHI-E-RIZQ K LIAY MUJARRAB HEN LEKIN HUB K LIAY BHI YEH KHAAS ASAR RAKHTA HAI IS KA SHARF (12) SAL BAAD (13) MAH KA HOTA HAI AUR JAB YEH SEYARAH "BURJ-E-SARTAN" MEI (15) DARJAY PER POHANCHTA HAI TO APNI POORI SA'ADAT ZAHIR KARTA HAI US WAQT AGAR KISI SARKASH MARD KO KISI ORAT KA MUTEE KARNAY KA AMAL KIYA JAYE TO 100% KAMYAB JATA HAI.

ZOHRA:  ZOHRAH KO AMILEEN NEY KHAAS TOR PER MUHABBAT KA NUMAYENDA QARAR DIYA HAI YEH SITARAH AAMAL-E-HUB KI TASEER BARRHANY MEI SAB SE OOLA HAI IS K SHARF K ZAMANA MEI TAYAR KIYA HOA AMAL TEZ BA'HADAF HOTA HAI AUR KABHI KHAT NAHI JATA AAMILEEN IS K SHARF K ZAMANA MEI "ALVAH TASKHEER-UN-NISAA" TEYAR KARTAY HEN JO UMAR BHAR KAAM DETI HAI ZOHRA KA SHARF "BURJ-E-HOO" MEI HAI AUR AIK SAL MEI AIK BAR SHARF HOTA HAI IS K SHARF KI MUDDAT (27) DIN HAI JAB ZOHRA "BURJ-E-HOOT" MEI (28) DARJA PER POHANCHTA HAI TO APNAY UROOJ PER HOTA HAI YANI NEHAYAT HE ACHA AUR QAVI HOTA HAI YEHE WO ZAMANA HAI JAB K IS KI SA'ADAT KO AAMILEEN MUKHTALIF AAMAL-E-HUB TAYAR KAR K APNI JHOLI SAMET LETAY HEN.

UMMEED HAI K IS MUKHTASAR SE BEYAN MEI AAP HUB SE MUTALLIQ SEYARON K SHARF KO SAMAJH GAYE HON GE LEKIN SITARON K SHARF HAR WAQT NAHI REHTAY IS LIAY AGAR AAP KO KOI AMAL KARNA HAI TO INHE SITARON KI SA'AT-E-SAEED KA INTEKHAB KAREN.

DO(2) AEHAM BATON KI AAP KO ZAROORAT PARREY GE AIK "SA'AT KA ISTAKHRAJ" DOSRA "TA'LY WAQT KA ISTAKHRAJ" 
ISTAKHRAJ-E-SA'AT WA TA'ALY KA TAREEQA IS SE PEHLE MEI BEYAN KAR CHUKA HOON 
YEH MALOOM HONA CHAHIAY K DIN AUR RAAT KO (12, 12) HISSON MEI TAQSEEM KIYA GEYA HAI YANI DIN KI (12) SA'ATEN AUR RAAT KI (12) SA;ATEN , AB AIK JADOOL PESH KAR RAHA HOON K JIS SE YEH ILM HO GA AGAR FALAN DIN FALAN SEYARAY KI SA'AT HAI TO AAYA WOH SA'AD HAI YA NEHAS HAI ? AUR HUM KIS KAAM K LIAY WOH SA'AT ISTEMAL KAR SAKTAY HEN 

"NAQSHA SA'AT-E-DIN"(TULU-E-AAFTAB SE GHUROOB-E-AAFTAB TAK"
"NAQSHA SA'AT-E-RAT"(GHUROOB-E-AAFTAB SE TULU-E-AAFTAB TAK)
IS NAQSHA MEI AAP DEKH RAHEY HON GE K CHAND HUROOF ISTEMAL HOAY HEN JESE NAQSHA SA'AT-E-RAT MEI HAFTA K SAMNAY ,WOH AFRAD JO ALOOM-E-NAJOOM KA FEHAM RAKHTAY HEN WOH BA'KHOOBI JANTAY HEN K IS KA MATLAB KIYA HAI LEKIN MUBTADI HAZRAT K LIAY ISE SAMAJHNA MUSHKLILL HAI 
MEI IS KI WAZAHAT KAR DETA HOON 
NIZAM-E-SA'AT AIK MAKHSOOS TARTEEB SE CHALA AA RAHA HAI JO K YEH HAI 
"ZOHAL-MUSHTARI-MAREEKH-SHAMS-ZOHRA-ATARAD-QAMAR"  
AASANI K LIAY HAR SEYARAH KA AAKHRI HARF LE LIYA GEYA HAI JESE ZOHAL SE AAKHRI HARF LIYA GEYA "LAAM" JIS K MANI HEN ZOHAL,
AAP IN (3) KALMAT KO YAD KAR LEN TO KABHI BHI IS TARTEEB KO NA BHOOLEN GE 
KALMAT YEH HEN,  لی-خس-ھدر

IS K HAMRAH AGAR AAP HAR DIN KA HAKIM SEYARAH ZEHAN'NASHEEN KAR LEN TO AAP KHUD BA'AASANI JADOOL TARTEEB DE SAKTAY HEN 

*ZOHAL--------------------------HAFTA
*MUSHTARI----------------------JUMERAT
*MAREEKH-----------------------MANGAL
*SHAMS --------------------------ATWAR
*ZOHRA---------------------------JUMMA
*ATARAD--------------------------BUDDH
*QAMAR---------------------------PEER
QAWANEEN K MUTABIQ HAR SEYARAH AIK DIN SE MANSOOB KIYA GEYA HAI JESE HAFTA KA HAKIM ZOHAL , JUMERAT KA MUSHTARI , MANGAL KA MAREEKH,
AB HUM NEY AGAR MANGAL K DIN KI (12) SA'ATEN ISTEKHRAJ KARNI HEN K KIS K BAD KON SEE SA'AT HO GE TO AAP KO AGAR YAD HO GA K MANGAL KA HAKIM SEYARAH MAREEKH HAI TO AAP BA'AASANI YEH TARTEEB DE SAKEN GE 
YAD RAKHEN JO SEYARAH JIS DIN KA HAKIM SEYARAH HAI BA'WAQT TULU-E-AAFTAB US SEYARAH KI SA'AT HOTI HAI MASLAN MANGAL KA MAREEKH " خ-س-ھ-د-ر-ل-ی-خ-س-ھ-د-ر
KALIMA - لی-خس-ھدر  AAP KO YAD HAI IS KALMA KO MAD-E-NAZAR RAKHTAY HOAY YEH TARTEEB DE GAYEE HAI 
AB AAP JAN JAYEN GE K GUZISHTA (2) JADOOL PER IS MEI AAP KAHEN PER DEKHEN GE K SA'AD LIKHA HAI KAHEN PER MANHOOS LIKHA HAI 
YAD RAKHEN KABHI BHI KOI SEYARAH HAMESHA SA'AD ASRAT NAHI DETA LEHAZAH IS BAAT KA KHAS KHEYAL RAKHA JAYE K JIS SA'AT KA INTEKHAB AMAL K LIAY KIYA GEYA HO WOH SA'AD HO 
MASLAN AAP ZOHRA KI SA'AT MEI AMAL-E-MOHABBAT  KARNA CHAH RAHE HON SA'AT TO ZOHRA KI HAI LEKIN MANHOOS HAI TO MATLAB YEH HAI K IS WAQT SEYARAH ZOHRA SE ZAMEEN PER AANAY WALI JO COSMIC REZ HEN WOH SA'AD NAHI UN MEI HUB-O-MUHABBAT KI TASEER NAHI BAL K ADAWAT KI TASEER HAI AISEE SURAT MEI AMAL APNI TASEER ZAHIR NAHI KARAY GA 
MEI TAFSEEL MEI JAYE BEGHAIR SEYARAH MUSHTARI AUR SEYARAH ZOHRA SE MUTALLIQ CHAND WAZAYEF DARJ KAR RAHA HON , JAB AAP IN DONO SEYARON SE MUTALLIQ KOI AMAL KAR RAHE HON YA NAQSH LIKH RAHEY HON TO AIK MARTABA APNAY AMAL SE PEHLAY AUR AIK MRTABA APNEY AMAL K MUKAMMAL HONAY K BAD SEYARAH SE MUTALLIQ ASMA-UL-HUSNA AUR MANSOOBA MOAKEL SE MANSOOB AMAL KI EBARAT PARRHEN , YOUN SAMAJH LEN K YEH TAREEQA LAZMI SHARAYET MEI SE HAI JAN BOJH KAR ISE TARK KARNA AISA HAI JESA GOYA KHUD AMAL KO NAKAM BANANA.
 مشتری
 زھرہ 


ستاروں کی سعد نظرات کا بیان

AASMANI DUNIYA (NIZAM-E-SHAMSI) MEI JITNAY SITAREY HEN WOH HAR WAQT  AIK DOSRAY KO DEKH RAHEY HOTAY HEN KABHI KOI SITARAH GARDISH KARTA HOA KISI SITARAY K RU'BARU HOTA HAI TO KABHI KOI , DAR'ASAL SITARAY GARDISH KARTAY HOAY JO ZAVIAY AIK DOSRAY SE BANATAY HEN IS AMAL KO ISTELAH-E-NAJOOM MEI "NAZRAAT" KAHA JATA HAI YEH NAZRAAT APNAY ASRAT MEI KABHI SA'AD HOTI HEN TO KABHI NEHAS LEKIN YAHAN SIRF SA'AD NAZRAAT K KHAWAS BEYAN KIAY JAYEN GE NEHAS NAZRAAT K ASRAT BHI NEHAS HOTAY HEN IN K BEYAN KI ZAROORAT NAHI ,
تثلیث : YEH NAZAR SA'AD AKBAR KI HAI AUR DOSTI KI HAI JAB (2) SEYARON MEI (120) DARJA KA FASLA HOTA HAI YA JAB AIK SEYARAH DOSRAY SEYARAH SE TEESRAY BURJ MEI HOTA HAI TO US WAQT HUM YEH KEHTAY HEN K IN SEYARON K DARMIYAN 
"NAZAR-E-TASLEES" HAI , AGAR TALIB WA MATLOOB K SITARON MEI YEH NAZAR KISI WAQT BANAY TO AMIL KO CHAHIAY HUB KA AMAL KARAY TEZ BA'HADAF SABIT HO GA KEON K JIN (2) SHAKHSON MEI AAP MOHABBAT KARVANA CHAHTAY HEN UN K SITARON MEI PEHLE SE MOHABAT HAI AISE MEI JALTI PER TAIL DALNAY K MUTRADIF HO GA IS K ELAVAH JIS DIN ZOHRA WA MUSHTARI MEI NAZAR-E-TASLEES WAQIA HO AUR KOI NEHAS SEYARAH IN KI SA'ADAT KO KAM NA KARTA HO TO US DIN AMAL-E-HUB KAREN JIS K LIAY KAREN GE WOH DORRA CHALA AAYE GA.

تسدیس :  YEH NAZAR SA'AD-E-ASGHAR HAI YEH BHI DOSTI HE KI NAZAR HAI LEKIN PEHLI NAZAR (TASLEES) KI NISBAT IS K ASRAT KAM HEN FASLA (60) DARJA HAI JAB AIK SEYARAH DOSRAY SEYARAH SE AGLAY BURJ MEI HOTA HAI TO NAZAR TASDEES" BANTI HAI ZOHRA WA MUSHTARI TASDEES MEI AMAL-E-MOHABAT KARNA BOHAT ASAR AUR FAYEDAH'MAND HOTA HAI.

قران :  IS NAZAR KA FASLA SIFAR (0) DARJA HAI JAB DO(2) SEYARAY AIK BURJ MEI AIK HE DARJA WA DAQEEQA PER AATAY HEN TO AAPAS MEI QRAAN" KARTAY HEN YEH NAZAR APNAY ASRAT MEI SAB SE ZEYADAH QAVI HOTI HAI LEHAZAH ZOHRA WA MUSHTARI KA AAPAS MEI YA QAMAR K SATH QRAAN HO TO AMAL-E-HUB KARNA MUFEED HAI KEON K YEH SITARAY SA'AD HEN AUR MOHABAT K AAMAL MEI APNI TASEER ZAHIR KARNAY WALEY HEN.

NOTE:- NAZAR KOI BHI HO HAD-E-ITTESAL KO HAMESHA MAD-E-NAZAR RAKHEN KISI SEYARAH K MEHAZ KISI BURJ MEI DAKHIL HO JANAY SE NAZAR SHURU NAHI HO JATI IS AMAR KO TAFSEEL SE JANA'NY K LIAY NAJOOM KI MUSTANAD KUTAB SE MADAD LENI CHAHIAY.

ذوجسدین بروج کا بیان
AMALIYAT MEI AAFTAB KA DORA MUKHTALIF BUROOJ MEI MUKHTALIF ASRAT KA HAMIL HAI IS LIAY JAB AAP AMAL-E-HUB KARNA CHAHEN TO AAFTAB KO DEKHEN K KIS BURJ MEI HAI AGAR AAFTAB ZOJAS'DEN " جوزا-قوس-سنبلہ-حوت
K BUROOJ MEI HO TO AMAL KAREN WARNA AAFTAB K ZOJES'DEN K BUROOJ MEI DAKHIL HONAY KA INTEZAR KAREN HAN ! AGAR KOI AMAL FORAN KARNA HO TO KAR SAKTAY HEN AAFTAB AIK SAAL MEI TAMAM BURJON SE GUZAR JATA HAI AUR TAQREEBAN AIK MAHEENA AIK BURJ MEI QEYAM KARTA HAI.

زھرہ ومشتری کے موکلات کی غذائیں اورطریقہ استعمال

MUSHTARI:  SHEHAD ,ZARDAH, MISRI AUR GULAB.
IN CHEEZON KO TAQREEBAN AIK PAAO LIYA JAYE 
YEH ZAROORI NAHI K TAMAM CHEEZEN HO JIS QADAR MIL SAKEN KAFI HEN 
AMAL K WAQT PAAS RAKHEN 
BAD-E-AMAL JARI PANI JAHAN MACHLIYAN HON BAHA DEN.

ISI TARAH AGAR ZOHRA KI SA'AT MEI AMAL KIAYA JA RAHA HO TO JO CHEEZEN ISTEMAL KI JAYEN GE WOH YEH HEN 
BADAM, AKHROT, CHANAY KI DAL, CHAWAL, AUR ITTER.
IN CHEEZON KA WAZAN BHI PAAO HO IS SE KAM NA HO 
DORAN-E-AMAL PAAS RAKHEN BAD-E-AMAL JARI PANI KAR DEN 
AMAL APNA PURA ASAR ZAHIR KAREY GA.

سعدونحس تواریخ کا بیان

DARJA'ZEL TAREEKHON KO AAMILEEN NEY NEHAS QARAR DIYA HAI AIN TAREEKHON MEI KOI BHI NEK AMAL KIYA JAYE TO BURA HAI AUR US KA ANJAM ACHA NAHI HOTA IS LIAY IN TAREEKHON MEI HUB-O-TASKHEER K AAMAL SE GUREZ KARNA CHAHIAY +918899877907

Comments

  1. mujhe ak malomaat chahye k ye time kab hoga (jab aftab birj sabat m mushtari se matqaran hoto) iski detail batdaen

    ReplyDelete
  2. Salaam. Apka contact number mil skta hai?

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

BUGZ WA ADAWAT

Namard Banane Ka Amal