Hazrat Insan Ki Haqeeqat


(انسان)
 

KIYA AAP KO BHI DEEGAR HAZRAT KI TARAH AMALIYAT MEI NAKAMI KA SAMNA KARNA PARR RAHA HAI ? KIYA AAP CHAHTAY HEN K DORAN-E-AMAL AAP PARHEZ JALALI WA JAMALI NA KAREN ? 
AAYE CHAND HIDAYAT PARRHEN !!! YEH AISEE BATEN BARRAY SE BARRA
 MAHIR-E-FUNN BHI BATANAY SE GUREZ KAREY GA .

INSAN ZAHIR MEI KIYA HAI IS KI TASHREEH ZAROORI NAHI LEKIN US K ANDER WOH AZEEM AUR LA'FANI QUWWATEN POSHEEDAH HEN JIN K HUSOOL SE INSAN
 ARSH WA KURSI SE AAGEY KHUDA TAK RASAYE HASIL KAR SAKTA HAI. TAMAM MAKHLOOQAT HEVANAT , NABA'TAT , JINNAT , MOAKELAT , FARISHTON AUR MALAYEKA PER APNI BARTARI SABIT KAR SAKTA HAI US KI MISAL IS TARAH HAI K MAMOOLI SEE KHAK AUR US KI SAB SE CHOTI AKAYEE YANI ATOM KO JAB TAVANAYEE DE KAR JAB TORRA JATA HAI TO US KI TAVANAYEE KI CHAKA CHOND SE INSANI AQAL DHANG REH JATI HAI. ISI TARAH JISM-E-INSANI MEI DIL AIK AISEE SALTANAT HAI K JIS KI TASKHEER SE KUL KAYENAT TASKHEER HO JATI HAI , MOLA-E-KAYENAT H.ALI (RAZI ALLAHO ANHO) KA FARMAN HAI JIS KA TARJUMA YEH HAI K
"TU APNI DAVA KHUD HAI MAGAR TUJHAY NAZAR NAHI AATA
TERI BEMARI BHI TEREY ANDER HAI MAGAR TUJHAY KHABAR NAHI
TU KHEYAL KARTA HAI K TERA BADAN ZARA SA HAI
HALAN K TERE ANDER AIK BARRA JAHAN CHUPA HOA HAI"
INSAN MEI TAMAM US TAMAM KI IBTEDA INSAN K DIL YANI QALB SE HOTI HAI DIL AAM ISTELAH MEI AUR DOCTORI ETBAR SE WOH INSANI UZW HAI K JIS KA KAM INSANI JISAM MEI DORAN-E-KHOON KO BARQARAR RAKHNA HAI.
H.SULTAN BAHOO(R.H) FRMATAY HEN K ! "ISI GOSHT K LOTHRRAY K SATH ROOHANI MAKHLOOQ PEVAST HOTI HAI JIS TARAH MURGHI K ANDAY MEI AIK CHOOZA POSHEEDAH HAI AGAR USEY TORRA JAYE TO KUCH NAHI MILEY GA MAGAR USI ANDAY KO MURGHI YA BALAB KI GARMI DE JATI HAI TO US SE CHOOZA NIKALTA HAI JO ANDA TORR KAR CHOO CHOO KARNEY LAGTA HAI AUR US K SATH POSHEEDAH MAKHLOOQ ALLAHO K ZIKR KI GARMI AUR MURSHID-E-KAMIL KI NIGAH SE ZINDAH HOTI HAI US MAKHLOOQ KA TALLUQ MALAYEKA SE HOTA HAI AUR MALAYEKA HAMA'WAQT ZIKR ALLAH KARTEY HEN IS LIAY YEH BHI ZINDA HE DIL KI DHARRKANO KO TASBEEH BANA KAR ZIKR ALLAH SHURU KAR DETI HAI. INSAN AUR DEEGAR MAKHLOOQ MEI IS BATINI MAKHLOOQ KA FARQ YEH HAI K UN MEI KHOON SUPPLIE KARNEY WALA UZW TO HAI MAGAR YEH ROOHANI NEMAT NAHI HAI DIL KA TALLUQ KHOON SE HOTA HAI JAB DIL MEI ZIKR ALLAH GOONJNEY LAGTA HAI TO DIL MEI NOOR JAMA HONA SHURU HO JATA HAI AUR PHIR YEHE ZIKR ALLAH KA NOOR KHOON MEI BHI JAZAB HONA SHURU HO JATA HAI AUR DHARRKANO K ZARIAY NAS NAS MEI NOOR POHANCH JATA HAI WOH NOOR-UN-ALA'NOOR BAN JATA HAI , IS MOQA PER
H.SHAH WALI ALLAH FRMATEY HEN K ! "JAB AIK MRTABA ALLAH KARTA HAI (35000000) DAFA ALLAH ALLAH KARNEY KA SAWAB MILTA HAI IS LIAY K POREY JISM MEI (35000000) NASSEN HEN WOH IS ZIKR KARNEY SE HARKAT MEI AA JATI HEN"
H.SULTAN BAHOO(R.H) FRMATEY HEN K "US WAQT US KO MAZEED (72000) MRTABA BHI ALLAH ALLAH KA SAWAB MILEY GA KEON K POREY JISM MEI (72000) MASAM HEN K JIN SE PASEENA NIKALTA HAI"
JAB YEH NOOR POREY JISAM KO MUNAWWAR KAR K AANKHON MEI AATA HAI TO WOH ALLAH K NOOR KO DEKHTA HAI MAZAR PER JATA HAI TO SABZ CHADER KO NAHI BAL K SAHIB-E-MAZAR KO DEKHTA HAI.TAHARAT, WUZU, NAMAZ, QIRAAT TO 
MOLVI SAHAB NAY SIKHA DIYA LEKIN TAHARAT-E-NAFS AUR TAHARAT-E-QALB K LIAY MURSHID E KAMIL PAKARRNA PARRTA HAI. 
"ALLAH ALLAH KIAY JANAY SE ALLAH NA MILEY
ALLAH WALEY HEN JO ALLAH SE MILA DETAY HEN"
JO LOG AMALIYAT MEI NAKAMI KA RONA ROTAY HEN WOH ZARA OPER TEHREER KARDAH MAZMOON KO PARRHEN AUR BAR BAR PARRHEN MERAY KHEYAL MEI AQAL'MAND K LIAY ISHARA HE KAFI HAI.
IS K ELAWAH LOG KEHTAY HEN K AISA AMAL MIL JAYE JIS MEI PARHEZ JALALI YA JAMALI NA KARNA PARREY TO SAHAB G AGAR PARHEZ JALALI AUR JAMALI NAHI KAREN GEY TO AAP KI ROOH KASAFAT SE LATAFAT KA DARJA KESE HASIL KARE GE ? AMALIYAT MEI INSAN KI ROOH KA LATEEF HONA BOHAT ZAROORI HAI AGAR KOI SHAKHS YEH CHAHEY K JALALI AUR JAMALI PARHEZ KIAY BEGHAIR HE AMAL MEI KAMYAB HO TO WOH IN HADAYAT PER AMAL KARNA SHURU KAR DE SHURO SHURO MEI THORRI MUSHKIL PESH AAYE GE MAGAR YEH MUSHKIL US WAQT DOOR HO JAYE GE JAB IS K ASRAT AAP PER ZAHIR HON GE AB HADAYAT PESH-E-KHIDMAT HEN...

1- ZEYADAH TAR ANDHEREY AUR KHALWAT MEI REHNAY KI AADAT DALEN.

2- KISI KAM YA BAT K MUTALLIQ MUKAMMAL WAZAHAT MALOOM KAREN PHIR WOH KAM KAREN.

3- AAP JO AMAL YA KAM KAREN US MEI TAJASSUSS ZEYADAH RAKHEN.

4- BATEN INTEHAYE KAM KAREN ZEYADAH WAQT KHAMOSH REHNAY KI AADAT DALEN.

5- KHANA BOHAT KAM KHAYEN.

6- KHANO MEI ZAYEQA PHEKA RAKHEN.

7- DIN AUR RAT MEI TAQREEBAN (5) GHANTEY SONA APNA MAMOOL BANA LEN.

8- PALAK JHAPKEY BEGHAIR (10) MINT TAK DEKHNAY KI AADAT DALEN.

9- (20) MINT TAK JISAM KO BE'HISS-O-HARKAT RAKH KAR BETHNAY KI AADAT DALEN.

10- APNAY JISAM KA KHAS KHAYAL RAKHEN AUR UMAR K LEHAZ SE WAZAN KAM KARNAY KI KOSHISH KAREN.

11- SARI UMAR IN ALOOM K HASOOL K LIAY WAQF KAR DEN.

12- APNI NAZAR KA KHAS KHEYAL RAKHEN AGAR CHASHMA LAGA HAI TO USE JALD AZ JALD UTARNEY K LIAY APNAY DOCTOR SE RUJOO KAREN.

13- GHAR K HALAT KHUSH'GAWAR RAKHEN.

14- SHAMMA BEENI, AAYENA BEENI, AUR SHAMS BEENI KI MASHQEN KARTEY RAHA KAREN.

15- SHAREYAT-E-ISLAMI PER AMAL PERA HON NAMAZ , ROZA , ZAKAT, KA KHAS KHEYAL RAKHEN.

16- ROZANA WARZISH KAREN APNI SEHAT KA KHAS KHEYAL RAKHEN.

17- AGAR KOI TALIB-E-ILM KISI KHAS BEMARI MEI MUBTALA HAI TO PEHLE US KA MUKAMMAL ELAJ KARWAYEN.

18- AIK NUQTA PER TAWAJJOH MARKOOZ RAKHEN.

19- HAR QISAM K NASHAY SE PARHEZ ZAROORI HAI.

ZARA (40) DIN IN HADAYAT PER AMAL KAR K DEKHEN AAP KI ROOH LATEEF SE LATEEF TAR HOTI CHALI JAYE GE US K SATH PARHEZ JALALI WA JAMALI SE BHI JAN CHOOT JAYE GE GO K YEH HADAYAT SAKHT HEN MAGAR IN PER AMAL PERA HONAY WALA ASRAT APNI AANKHON SE DEKHAY GA YEH AISE RAZ HEN JO BARRA SE BARRA MAHIR BHI BATANAY SE GUREZ KAREY GA.

 

Comments

Popular posts from this blog

BUGZ WA ADAWAT

ILM-E-NAJOOM KI AFADIYAT

Namard Banane Ka Amal